ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Dhadkata to wo hai, hararat bhi to samjhe koi

Dhadkata to wo hai, hararat bhi to samjhe koi
Dil ki  kaifiyat o ruhaniyat bhi to samjhe koi

Haath milane ka mafhum khub jaante hain sab
Magar, bhai chaara aur unsiyat bhi to samjhe koi

Khuda ki inayat o mehr ki taalib hai dunya
Us ki qu’wat aur qahr bhi to samjhe koi

Yaro, chaman ki sairon ka lutf to uthao, lekin
Kabhi phoolon ki nazakat bhi to samjhe koi

Mahabat mahabat unsiyat ke qissey, bas
Aaj har su kyon hai nafrat bhi to samjhe koi

Aaj to sirf ujalon ki baaten hotin hai, ‘sahil’
Zaalim kitni hai zulmat bhi to samjhe koi

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *