Jab lagta nahin hai jee mera ab ku e yaar men
Jab lagta nahin hai jee mera ab ku e yaar men
Lagega kya tum hi kaho phir ujde dayaar men
Jalti nahin hai sham’a yahan gulon ke darmiyan
Sannaata bhi ajab hai aaj mere hi gulzaar men
Ro rahey they gul bhi saare aur baaghbaan be zaar
Maayus na dekha chaman aisa hum ne kabhi bahaar men
Hai kitni us men pukhtagi hai aitbaar us ka kya
Yaqin karen to kaise phir mausam e saazgaar men
Sunta hun naseehat teri bahot ghaur se main vaaiz
Per yeh bata kya hai woh tere kul ikhtiyaar men
Munsif, baargaah e rab men gunaah to honge maaf
Tu farq bata phir ba safa aur gunahgaar men
Zindagi, mahabat tujh se to zaalim hai bahot
Amar kaun hua yahan kabhi tere pyaar men
Jhalak shaitaan ki hoti hai har insan men zurur
Jaise hota hai kaanta aur paasbaan har ek khaar men
Kaho badla gar irada hum ne to kya karegi maut
‘Sahil’, kab talak baithenge hum fuzul intezaar men
Ku e yaar. Courtyard of beloved
Gulzaar. Baagh
Pukhtagi. Firm. Stable
Saazgaar. Pleasant. Likeable
Baargaah e Rab. The court of God
Ashok sawhny ‘Sahil’