Aaj kehti hai dunya nadamat hai
Aaj kehti hai dunya nadamat hai
Kaho, kaisi yeh is ki aaj haalat hai
Har su tabaahi bandookon ka shor
Khudaya, insan ki tere kya jahalat hai
Mehr hai teri karam tera jahan per
Phir kaisi is bashar ki ita’at hai
Ab nigahen kisi se to milti nahin
Unsiyat yeh kaisi, kaisi ulfat hai
Shukr hai ‘sahil’ itna hi bahot
Ke dua ki abhi tak kuch aadat hai
Nadamat. Regret
Ita’at. Farmabardaari. Obedience
Bashar. Insan
Unsiyat. Bhaichaara
Ashok sawhny ‘Sahil’