Umeed lagaye baithe sab kehkashaan ko takte hain
Umeed lagaye baithe sab kehkashaan ko takte hain
Sunte hain aaj taaron ko log be hisaab khareedte hain
Iman mohkam hai nahin vahm o gumaan ke shikaar sab
Khauf khuda ka nahin kisi ko, shaikh se log darte hain
Afwahon ki dunya men kaho aitbaar karen to kis per
Kinaarey they saharey kabhi ab to sahil bhi doobte hain
Hayaat manind e bisaat hai baaziyon ka yeh khel
Koi na jaane haarey kitni, kitni baaziyan jeete hain
Aaj faasle dilon men hain, koson door to koi nahin
Per, aati nahin nazar unsiyat jab auron se log milte hain
‘Sahil’, sukun chain raahat sab, baat to sirf soch ki hai
Munhasir sab is baat per, ke log ab kaise sochte hain
Ashok sawhny ‘Sahil’