ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Sang dil sanam ko dekh kar pathhar muskuraate hain

Sang dil sanam ko dekh kar pathhar muskuraate hain
Kisey khabar dil men kis key khayal kya mandraate hain

Dil to kisi ke bas men nahin dil bhi sab yeh jaante hain
Mizaaj barham ko jaane kaise log phir manaate hain

Veeraanon ke tasavvur se to dil sab ka ghabrata hai
Dasht o sehra men jaane kya sapne log sajaate hain

Darmaan bata, ai charahgar, azaab o musayab ka
Log to hamen jaane kyon bas saraab hi deekhlaate hain

Shirin ho zubaan agar alfaaz hon dil ruba, to phir
Na sun ne walon ko bhi woh kheench kar le aate hain

Budhaapa daur hai zindagi ka , peeri sab ko ho mubarak
Tanhayi men ab man ko hum jhulon men jhulaate hain

Dosto, ghaflat dekho logon ki jahan ka naya andaaz aaj
Mushkil men yaad aata hai varna Rab ko sab bhool jaate hain

Kuchh is qadar rukta hai waqt ke ‘sahil’ ab deewana hai
Soch samajh ki baat alag ab khwaab bhi nahin aate hain

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *