ENTERTAINMENTINDIAStory/PoetryTRENDING NEWS

Na khuda ka kyon ehsaan main uthaun

Yaqin se pukaaro

Na khuda ka kyon ehsaan main uthaun
Jab safiney ko mere khud kinaara miley
Manjdhaar men main ne dua jo ki thi
Ke khuda ka mujhe kul sahara miley

Qabool ki jab us ne dua meri dosto
Tufaan bhi sar apne jhukaate rahey
Ban kar woh maujen qareeb mere aa kar
Dilaasey mujhe phir dilaate rahe

Kashti ne chooma reton ko jab
Sumundur ko mila sukoon phir bahot
Ilzaam na laga na jawab deh woh bana
Faraghat men hota hai junoon phir bahot

Bin riza khuda ke to patta nahin hilta
Saba nahin chalti chain nahin milta
Mushkil kyon hai itna is baat ka samajhna
‘Sahil’, gham nahin dhalta, dil nahin khilta

Bin kuchh maange kar sajde tu
Waaqif hai maula armaanon se
Yaad karna usey hi bahot kaafi hai
Khabar milti hai usey sab ke dilon se

Basta hai woh dil men sab ke
Maano ya na maana yaro
Bula kar dekho, naam le kar dekho
Bas, yaqin se usey tum pukaaro

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *