Imaan ho pukhta to umeeden jawaan ho jaati hain
Imaan ho pukhta to umeeden jawaan ho jaati hain
Dekhnewalon ki nazren hairaan ho jaati hain
Yaro, himmat na haaro khazan mustaqil nahin
Jhonka e naseem se veeraanian pareshaan ho jaati hain
Gar mansuba bana rakha ho kisi baat ka tum ne
To koshishen phir nahin raaegaan ho jaati hain
Masrufiyat khuda ki kaun jaanta hai vaaiz
Tab hi shayad auron ki duaen mehrbaan ho jaati hain
Zindagi ki raah men har su hain khaar o khas
Dosto, azm ho to muskilen bhi aasaan ho jaati hain
‘Sahil’, taskeen ho dil men to armaan doobte nahin
Kis ne kaha khwahishon ki kirnen dhuan ho jaati hain
Ashok sawhny ‘Sahil’