Gul aur Bulbul ki guftagu
Muqabala hai tera mera
Boli gul ki khushbu aaj
Gaati hai tu umda bulbul
Baitha kyon hai gulu aaj
Jidhar bhi tu dekh le
Mehak rahi hai hasti meri
Aawaaz men woh jaan nahin
Aaj kyon hai aisi pasti teri
Boli Bulbul haule haule
Ja rahi hai dekh bahaar
Dil mera hai bahot udaas
Kab tak hoga iska intezaar
Ek udti chidiya ne kaha
Daayam to kuchh hai nahin
Faani hai jahan yeh saara
Qaayam to kuchh hai nahin
Dastoor yehi hai jahan ka
Aana aur phir chaley jaana
Tum bhi sun lo baghbaan
Hanste aur gaate tum jaana
Muqarrar ik din sab ka hai
Jab subh to hogi shaam nahin
‘Sahil’, sab se aala sabaq yehi hai
Yaan roney se koi kaam nahin
Ashok sawhny ‘Sahil’