Guftagu khuda se , woh bandagi dekhiye
Guftagu khuda se , woh bandagi dekhiye
Us insan, us dil ki, tabindagi dekhiye
Jo dil ke khaanon men rakhe haafiz, khuda ko
Woh fahm o firasat woh danishmandi dekhiye
Kahan jaate ho yaro tum dil ko lagaane
Kabhi hum se bhi mil kar dil lagi dekhiye
Haan, badle zamane hain apni jagah, lekin
Kabhi ulfaton puraani ki adayegi dekhiye
Unsiyat samajhni hai tum ko agar
To mil kar phir hum se wabastagi dekhiye
‘Sahil’, raunaq mehfil men har su hai dekhiye
Aur, usi men phir hamaari tum saadagi dekhiye
Tabindagi. Raushani. Chamak
Fahm o firasat. Wisdom. Intellect
Danishmandi wisdom
Adayegi. Naaz o nakhra
Unsiyat. Bhai chara
Wabastagi. Relation connection
Ashok sawhny ‘Sahil’