Ai ahl e chaman gulshan hai yeh jahan
Ai ahl e chaman gulshan hai yeh jahan
Ek doosre ko tum phoolon se sanwaaro
Arbaab ya adoo, insan hain woh sab
Alfaaz hain kaafi, patharon se na maaro
Yeh jhagre mazhab ke hain fitne aaj kaise
Taur tareeqey yahan ke aaj mil kar sudhaaro
Bhagwaan ya khuda, naam God ya kuchh aur
Paasbaan woh sab ka usey yaar keh ke pukaaro
Khatm honge zubaanon men fuzul ke jhagre
Kyon samajhte nahin ho tum jahan ke, aawaaro
Farz tera hai vaaiz samjhaana logon ko
Hum samajhte kyon nahin hain batao tum yaro
‘Sahil’, jeena hai kya aaj bandook ke sahaare
Naam khuda ka tum le kar subh shaam guzaro
Ashok sawhny ‘Sahil’