Story/PoetryTRENDING NEWS

Mausamon ki baat kya waqt e ikhtetaam hai

Mausamon ki baat kya waqt e ikhtetaam hai
Bahaar aur khazan kya subh aur ek shaam hai

Hangaame jidhar dekhiye, dua na salaam hai
Bandobast na jeene ka, na hi koi nizaam hai

Maikade men bol saqi khaali kyon aaj jaam hai
Kyon aata nahin nazar mujhe rind jis ka naam hai

Hukm tera maana shaikh sab tere ghulaam hain
Yeh bata khuda ke bande, kya tu kisi ka ghulaam hai

Zaat insan ki ek hai, bahas is men to hai nahin
Dilon men phir kyon nahin aaj sab ke entiraam hai

Ba safa aaj kaun hai tu hi bata munsif hamen
Pursish kaisi mujrim kaun, kaun yahan bad naam hai

Haazir to sab ko hona hai baargaah e khuda men
Roz e azal se pukhtah ‘sahil’ yehi ek paighaam hai

Ikhtetaam. End
Rind. Sharab peene wala
Ehtiraam respect
Munsif. Judge
Roz e azal  day of creation
Pukhta. Pucca

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *