Yeh ghazal nahin maano harf e rindaana hai
Yeh ghazal nahin maano harf e rindaana hai
‘Sahil’, shayar nahin dosto mahz deewaana hai
Jaam o meena ki nahin koi darkaar usey
Dair o haram hi uska kul maikhaana hai
Raaz kya hai tera bata bhi de, shaayar
Yaro, kuch nahin bas andaaz mera falsafaana hai
Sawaal mat kijiye, sirf tasleem kijiye sab
Mustaqil kuchh nahin chund roz ka yeh thikaana hai
Yaadon men jeena to la haasil hai yaro
Jaise saraab ko umeed men lipatna hai
‘Sahil’, naar ka kaam to mahz jalana hai
Junoon men fana hota to bas parwaana hai
Mustaqil eternal
La haasil. Futile
Harf e rindaana. Words of a Drunk
Ashok sawhny ‘Sahil’