Junoon mazhab ka saraab hai yaro
Junoon mazhab ka saraab hai yaro
Kya achha, kya kharaab hai yaro
Puchh lo tum Rab se apne
Insaniyat chhord sab azaab hai yaro
Kar le vaaiz jo tu chaahe
Kar le tu pandit o mulla
Padri to paadri rahega
Baney na koi Rab na Khuda
Yeh baaten sab khuda ki hain
Phir fateh aur shikast hai kya
Pukaro usey jo dil men hai
Bartar aur phir past hai kya
Nahin rahengi sada yeh mohkam
Dharm o mazhab ki tanhahiyaan
Jab ek khuda aur ek insan hai
‘Sahil’, kabhi khatm to hongi yeh saudaiyaan
Ashok sawhny ‘Sahil’