Gir rahi hai aasmaan se sang o khisht ki baarish kyon
Gir rahi hai aasmaan se sang o khisht ki baarish kyon
Naraaz hai falak to phir ashkon ki nahin hai naalish kyon
Gumrahi ki raah hai naaseh yeh sawaal jawaab ka muamla
Olay barsen ya barse shabnam arsh se yeh pursish kyon
Rukey hotey gar mah o anjum aur ruka hota gar aaftaab
Hota phir neendon ka kya, tum puchhte ho yeh gardish kyon
Eejaad nahin hai teri jab phir kaaenaat hai yeh kis ki
Momin hai tu insan agar to justaju o kaavish kyon
La mahdood hai kuchh nahin faani hai jahan yeh sab
Dil men tere ‘sahil’ phir javidaani ki yeh khwahish kyon