Bas, chaandni raat mujhe sulaane aa jaaye
Bas, chaandni raat mujhe sulaane aa jaaye
Aur, kiran subh ki mujhe jagaane aa jaye
Yaro, roz na sahi kabhi kabhi hi sahi
Chaman men bulbul gungunane aa jaaye
Rooth jaata hun main khud se kabhi
Ab mujhe bhi to koi manaane aa jaaye
Hain khutbe tere meri samajh se baahar
Vaaiz, aasaan si baaten koi sikhaane aa jaaye
Tere armaanon ki fehrist be hisaab hai, ‘sahil’
Kya tujhe bhi koi ab samjhaane aa jaaye
Ashok sawhny ‘Sahil’