Story/PoetryTRENDING NEWS

Kisey kab har safar men aaraam e sahil miley hain

  1. Kisey kab har safar men aaraam e sahil miley hain
    Sayi rafu ki hoti hai per daaman sab kab siley hain

    Kabhi kehte they mehmanon se maazi men log yun
    Aaya karo ghar pe yaro darwaaze mere khuley hain

Ab hua hai kya tehzeeb ko tu hi bata, naaseh,
Shaaistagi ko kyon aaj log is tarah bhuley hain

Falak sab ka ek hai yeh to maana hum ne, vaaiz
Per kyon nahin phir aasmaan sab ke hotey neeley hain

Zaamana qaabil e ilzaam hai malamat mat kijiye
Insan to fitratan, ai dosto, hotey sab bhaley hain

Buzdili hai haar ‘sahil’ to kuchh to zara soch
Hum ne to iraadey apni qismat ke bhi badle hain

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *