Bulao murghaan e chaman ko, baab e qafas kholen hum
Bulao murghaan e chaman ko, baab e qafas kholen hum
Ghaafil kyon hai baaghbaan, bulao kuchh to usey bolen hum
Betaab guzri hai raat bhi be neend tadpe they shab bahot
Ab rokey subh ki kiran koi, kuchh der to aur so len hum
Naam darya ka nadamat hai baithe hain hum lab e darya
Chalo, ek ek kar ke dagh e daaman ro ro kar ab dho len hum
Bikhre moti har su aaj kuchh nakli aur kuchh aankhon ke
Gira kar do chaar moti yaro chalo maala ek piro len hum
Neend apni, khwaab apne, taabeer bhi to apni ‘Sahil’
Thak gaye takte taaron ko ab khwaab apne sajo len hum
Murghaan e chaman birds
Baab a qafas pinjre ka darwaaza
Nadamat repentance
Taabeer interpretation
Ashok sawhny ‘Sahil’