Story/Poetry

Na samjhe woh baat meri to kaho kya karun

Na samjhe woh baat meri to kaho kya karun
Zubaan saadi na baney sunehri to kaho kya karun

Us paar ki ho kwahish, haail ho darmiyaan
Aur nadi ho woh gehri to kaho kya karun

Gardish hai yeh kaisi, nagri hai yeh kis ki
Lagti nahin hai meri to kaho kya karun

Tanhayi ka andaza ab koi to laga lo
Jab hamsafar ho masehri to kaho kya karun

Inkisaari hai zururi samajhta hun main ‘sahil’
Per, qamar bal khaaye meri to kaho kya karun

Haail. Obstacle
Gardish. Revolutions
Masehri. Mosquito net
Inkisaari. Humility

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *