Daagh daaman pe ho to girebaan kya karey
Daagh daaman pe ho to girebaan kya karey
Aur girebaan pe daagh to daamaan kya karey
Na maane baat kaafir to kya karey momin
La parwa ho shaikh to paasbaan kya karey
Hamwaar na ho raah, aagah na ho tum
Na dekho to kaho, sang e giraan kya karey
Hum chamakte taaron ko takte hain kya
Kaho, nairangi e husn bayaan kya karey
Khud ko sambhalo, ai haajiyo tum bhi
Na paak hon dil to aastaan kya karey
Koi zaamin nahin hai kisi ki dua ka
Jawab na miley to aasmaan kya karey
Jeena hi naam hai zeest ka ‘sahil’, maqsad kya
Koi jeena bhul jaaye to jaan kya karey
Ashok sawhny ‘Sahil’