Story/Poetry

Baithe they umeed liye chaman men aaj baharon ki

Baithe they umeed liye chaman men aaj baharon ki
Muntazir thi shab bhi saath, darakhshaan un sitaron ki

Barhainagi khazaan ki thi phaili hui chaaron taraf
Bahaar thi zuroor magar thi woh baagh ke khaaron ki

Pagdandiyaan theen har su nishan na they rahguzaron ke
Murjhaye huay phool they sab, takte raah baharon ki

Fitrat ho aawaragi to kehiye phir hum kya kahen
Baat hai yeh sitaaron ki falak men un sayaaron ki

Jalte huay dil they ‘sahil’, udaas theen sab mehfilen
Bahaar thi to har su bas, sulagte un angaaron ki

Darakhshan resplendent
Barhainagi bare nudity
Rahguzaaron raaste
Sayaaron travellers

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *