Kya karega jaan kar, ‘sahil’ tu zamaanon ko
Kya karega jaan kar, ‘sahil’ tu zamaanon ko
Samjhaye kaun asl kya duniya ke deewaanon ko
Insan nahin khuda bante hain firasatmand yahan
Rah e haq kaun dikhlaye in, faani, sab sultanon ko
Dil se na ki jaaye koshish to tanha rehta hai dil
Phir Jaanoge kaise dunyawalo tum anjaanon ko
Chamak dekh darakhshan un sitaron ki ai insan
Kya karega chhu kar tu neeley un aasmanon ko
Zindagi hai seedhi saadi sab ki hai, magar
Seekhen kuchh gar dekh kar dervesh se deewanon ko
Ishq bhi deewaana hai sar pe junoon sawaar
Chaahe ya na chaahe sham’a jalna hai parwanon ko
Zaat un ki apni hai, hain sach ke woh khilaaf
Yaro, ek mauqa hi to chahiye muntazir bahanon ko
Bhoolley tu khuda ko bande to ghaafil tu kehlayega
Maafi na milegi gar kabhi bhula tu maaon ko
Dil me basti hai khushi beroon kya hai ‘sahil’
Samjhaye kaun insaanon ko, farzi un muskaanon ko