Mehr ho Rab ki to jaan hai
Sehr to umeed ka unwaan hai

Mehr ho Rab ki to jaan hai
Sehr to umeed ka unwaan hai

Haal e dil ki karte ho baat kya
Paasbaan jab dil ka muskaan hai

Na baney gar kaam tabassum se
To Saughaat e zameer o irfaan hai

Keh de qaza se tu bande aaj
Jism kamzor sahi, dil to jawaan hai

Jab tak jaan hai jahan hai dosto
Jazba e zindagi to imtehaan hai

Muqarrar hai sab, faani yeh dunya
Per ajal to, ajnabi, anjaan hai

Rajaiyat se meri raat bhi, ‘sahil’
Na jaane, amooman pareshaan hai

Sehr. Subh
Unwaan. Title
Muskaan. Smile
Tabassum. Smile
Paasbaan. Chowkidaar
Nigahban. Guard
Naaseh. Counselor
Ajal. Maut
Rajaiyat. Optimism
Amooman. Generally. Likely

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *