Safar hai yeh zindagi ‘sahil’ baat maqaam ki to nahin ki
Safar hai yeh zindagi ‘sahil’ baat maqaam ki to nahin ki
Raahi hai tu, chalte chal, baat gaam ki to nahin ki
Jahan gaye tu saath tha Maula tujhe subh ba khair
Hum ne bhi to kabhi koi baat haraam ki to nahin ki
Jab bhi aayi ghadi koi aise muhaal waqt ki, riza rab ki thi nadaan
Hum ne bhi kabhi giley shikwon ki baat, nizaam ki to nahin ki
Maalik jahan ka ek hai aur naam us ka hai sirf khuda
Shaikh, hum ne baat na teri, kisi ghulaam ki to nahin ki
Dilon dilon ki baat thi isi liye hum ne jaanan, aaj
Hijaab tera bhi dekh kar baat mahraam ki to nahin ki
Jaanam, nadi tumhari aur thi kashti bhi tumhari aur
Hum ne baat tum se koi kisi inzimaam ki to nahin ki
Sheeshon ki baat ho rahi hai naazuk hain dil yahan
Naraaz kyon hai Saqi tu, baat mai o jaam ki to nahin ki
Purdah hata de zara saqiya teri muskaan bhi to dekh lun
Nigahon ka milna laazim nahin, baat salaam ki to nahin ki
Phal Phoolan ki baat ho rahi thi chaman men, milne ki baat to nahin
Hum ne bhi baat zamin ki ki thi, sar e baam ki to nahin ki
Zindagi ki baat ki hai mehboob, dharakte dilon ki baat
Aziyat is men kya hain jaanan, dawaam ki to nahin ki
“Sahil”, milna chaahe to aa jaana tu phir chaman men aaj
Armaanon ki baat karta hun main, anjaam ki to nahin ki
Maqaam place
Gaam. Footstep
Muhaal. Mushkil
Riza. Marzi
Nizam. Arrangements
Mahraam. One permitted into ladies area
Inzimaam. Confluence. Proximity
Sar e baam. Rooftop
Dawaam. Eternity