अशोक साहनी की कविता
Subh se jal raha hun muntazir hun shaam ka
Aftaab hun magar khud mukhtaar sirf naam ka
Shahenshah e jahan kaun, aagaah hun is baat se
Darja in faani shahon ka mahz ghareeb ghulaam ka
Gardish o ravaani meri banti hai woh kal ki subh
Rehte hain sab muntazir shaam o shab ke anjaam ka
Sun kar yeh alfaaz main hairatzada hua bahot
Suraj ba khabar hai lekin insan ghafil nizam ka
Faani hai yeh duniya ‘sahil’ kab samjhenge log
Aftaab bhi to muntazir hai ek roz anjaam ka