Aaj qahr e khuda se koi darta nahin

Aaj qahr e khuda se koi darta nahin
Sachey dil se ibadat koi karta nahin

Qurbani kya shai hai na jaane koi
Jab kisi pe kahin koi marta nahin

Naaz o nakhre to sab hum hi ke hain
Aayena to kabhi koi sanwarta nahin

Tamaashe kaun samjha darya ke kab
Safina khud se to kabhi mudta nahin

Dosto, taakheer se hogi pashemani zurur
Murda to khud kaandha badalta nahin

Kyon padte ho peeche tum waqt ke yaro
Jab ravaan woh zaalim kabhi rukta nahin

Kya hilaega tu un kohsaron ko, ‘sahil’
Jab gaam apna hi tera ab uth ta nahin

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *