
Zindagi jeene ko kuch aasaan banaana hai
Jahan ko bhi to rashk e jinaan banaana hai
Muqabala jadeed o kuhan ka har mor per dekhiye
Socho yaro ab kuhan ko kaise jeetaana hai
Jisey ahd e haazir kaha jaata hai us zamane ko
Ab mafhum e zindagi phir se zururi batana hai
Mushkil nahin yeh falsafa samajhna, lekin
Mushkil yeh muamla ab khuda ko samjhana hai
Sadayen hi banti hain qaasid hamari duaon ki
Unhen hi farishton tak hamen pahunchaana hai
Wohi maula hi kuch karey to baat baney ‘sahil’
Insan to bana baitha ek awwal deewaana hai
Hama daan hai tu, haazir naazir hai khudaya
Tu hi bata hamen soton ko kaise jagaana hai
Raasti se itni door ja chuka hai yeh banda tera
Khudaya tujhe hi phir se isey, ek insan banaana hai
Ashok sawhny Sahil
Leave a Reply