Tum chali bhi jao to silsila e takallum rahta hai

Tum chali bhi jao to silsila e takallum rahta hai
Dil men mere tumhara woh aks e tabassum rahta hai

Sach sach bataana varna hum chaley jaayenge, jaanan
Kya tumhara dil bhi khul ke rota hai jab sanam rota hai

Mukammal to na mila kisi ko faani jahan men kuchh
Khushi na mili jinhen, unhen khazana e gham milta hai

Kahin shaitaan kahin farishta, firdaus kahin jahannum
Kahin sakoot e sumundur ke baad kul talatum milta hai

Main Jamshyd nahin kor chashm hun, dhundli hai ab nazar
Saqi tu batla kya tera woh aala jaam e jam kehta hai

‘Sahil’ jisey khuda ka hum numainda maana karte they
Dekh woh zameer aaj kitna be zarf o be sharm rehta hai

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *