Kisi momin ne kabhi dars e kitaab na maanga koi
Qana’at mili maqaam men, khitaab na maanga koi
Pukhta imaan ke maalik ne daraar na aane dee
Phir duaon ka khuda se jawaab na maanga koi
Jaankaari to roz e mahshar ki sab ko hai beshak
Tabhi kisi ne humse kabhi hisaab na maanga koi
Karte ho tum qaid usey qafas men kyon baaghbaan
Bulbul ne to tum se kabhi asbaab na maanga koi
Na samjha paasbaan koi na chaman ka baaghban
Ke bulbul ne naghmon ka sawaab na maanga koi
Tere bande kyon hain bin taskeen, ya Rab tu bata
Dil betaab to kisi ne tujh se na maanga koi
Hum tishna rahey baaraha lab e darya ‘sahil’
Khuddar they hum itne ke aab na maanga koi
Ashok sawhny Sahil
Leave a Reply