Zindagi darya ki to us ki ravaanagi hai
Zindagi darya ki to us ki ravaanagi hai
Jaise bandagi dervesh ki us ki zindagi hai
Sitaron ki chamak shab o suraj ka khel hai
Nur e khuda to haqeequi tabindagi hai
Chaarahgar ki baaton men na aana yaro
Marham sab se aala to khuftagi hai
Paheli ya muamma ya mafhum kuch aur
Jo bhi hai jee lo khushi se, apni hi zindagi hai
‘Sahil’, jo talaash e Rab men guzaare zeest
Woh aawaara nahin, woh to nek aawaragi hai
Ashok sawhny Sahil