Iman ka pukhta hona to har haal zururi hai
Iman ka pukhta hona to har haal zururi hai
Himmat e mardaan ka mafhum to saboori hai
Qismat ko na koso muqadama kis pe karoge
Azaab ko samjho yaro usey to Rab ki manzoori hai
Sar jhuka kar chala karo girne se bhi bachoge
Ghuroor to har insan ki zabardast kamzori hai
Girgit ko rang badalne ka to shauq hai shayad
Lekin, ahl e siyaasi ke liye to yeh zururi hai
Kinhen kehte hain faasle tu hi batla naaseh
Jab be wafaayi to mahz dilon ki doori hai
Bhatakta hai insan, woh apni raahon se tab hi
Jab sar ba sajda baney uski ahm majboori hai
Khush fahmi aur umeed, goya sehra ke saraab
Jo paas hai tumhare wohi to aala hoori hai
Shauq zulmaton ka hai to aasani hogi, ‘sahil’
Agarche naam tere humsafar ka noorie hai
Ashok sawhny Sahil