Tark e ta’alukaat ka nahaq malaal hai
Tark e ta’alukaat ka nahaq malaal hai
Rooh e kalaam aap hi ka to kamaal hai
Auron ke kaam na aa saken to kya fayeda
Raushni chaand taaron ki aftab ka jamal hai
Unsiyat ko dafn kiye baithe hain sab
Khudaya dekh aaj tere insan ka kya haal hai
Kya irtiqa ka maqsad ya nateeja hai yeh
Tujh se mere maalik yeh mera sawaal hai
Baha lo tum aansu yaro jitne tum chaaho
‘Sahil’ ka rakha reshmi rumaal hai
Ashok sawhny Sahil