Khuda nahin to iman kya hai
Khuda nahin to iman kya hai
Aur insan na ho to jahan kya hai
Hirs o hawas, khwahish o khwab
Yeh sab kuch nahin to armaan kya hai
Lams e zameer har baat men ho
Varna insan ki pehchaan kya hai
Jo haal e dil na karey bayaan
Woh farzi phir muskaan kya hai
Gar baatin misl e charagh na ho
To sham’a e shabistaan kya hai
Amad o raft to kaam zeest ka hai
Siwa iske aur kaarwaan kya hai
Gar khaaron ka woh aashiyan nahin
To batao phir gulsitaan kya hai
Jo chubhan ka ehsaas na dilaaye kabhi
Woh shai phir nigahban kya hai
Faza men udta phirta hai woh
Per dil na jaley to dhuaan kya hai
Kuch na rukey to ravaan kya hai
Aftaab na dhaley to ayaan kya hai
Sun ne waala na ho kahin agar
Kis ki phir koi daastan kya hai
Humnawayi na ho tumhari agar
To batao gham e hijraan kya hai
Falsafe ki baat hai jahan saara
Zameen nahin to aasmaan kya hai
Kabhi sakoot e sumundur se jaaniye
Sukoon aur itmenaan kya hai
Yaad karna khuda ko hi kaafi hai
Us se aakhir nihaan kya hai
Qahr e khuda se badh kar koi
Vaiiz, tu bata imtehaan kya hai
Gar kuchh bhi muhaal nahin, ‘sahil’
Phir bata jahan men aasaan kya hai
Ashok sawhny Sahil