Chale ho tum khumgaah men kyon hamen yun pukaar ke
Chale ho tum khumgaah men kyon hamen yun pukaar ke
Khud kyon bigre ho tum naaseh hum ko yun sudhaar ke
Tum kis kis ko haraogey kitni jagah fateh paaogey
Hum to yaro khush hain bahot zeest se baazi haar ke
Maazi ke din yaad hain sab, unsiyat aur woh pyaar ke
Zamaana ab khizaan ka hai, woh din kahan bahaar ke
Aaj nafraton men doobi hai yeh dunya jaane kis liye
Hindu Muslim Sikh Isayi sab munfarid kumhaar ke
Fasurdagi ki qaba pehne daaghon ko dhotey huay
Mahlon men rehne waale ab lagte hain ujde dayaar ke
Ghaflat men ghurub insan, imaan se kyon hai koson door
Mabadon ki baat kyon, woh hissey hain bazaar ke
Musafir hain sahil pe, saabir aur kh- mosh woh sab
‘Sahil’, ajnabi nahin koi, khwahaan sab sumundur paar ke