Aaftaab har subh hamen jagaata hai
Aaftaab har subh hamen jagaata hai
Fuzul ki khuftagi se bachaata hai
Roodaad e maazi se nahin milta chain
Haal hayaat ka to waqt bata deta hai
Bachpan o jawaani hai mausam suhana
Budhaapa to uddham macha deta hai
Phir sahra se ja milti hai jaan sab ki, aur
Woh be dardi sab kuch mita deta hai
Justaju taskeen ki, hai aarzu har dil ki
Be bas wo parinda to dhadakta jaata hai
Be zubaan hai dil, shikaar woh khmoshi ka
Ro ro ke gham apne chhupa leta hai
Dil per pathhar vazni nahin hota, maana
Per woh bhaar uska ‘sahil’, dafna deta hai
Ashok sawhny Sahil