Yaro, apne sotey huay zameer ko to jaga lo
Yaro, apne sotey huay zameer ko to jaga lo
Auron ko nahin pehle apne aap ko samjha lo
Jab jaanta nahin hai koi kisi ko bhi yahan
Baat doosron ki karni kya khud ko to aazma lo
Zulmaton men dekhne ki zururat nahin hogi
Gar charaagh e tasavvuf dil men apne tum jala lo
Qismat jaane rah woh apni us se lena dena kya
Be basi se kooch kar ke, umeedon ko phir saja lo
Zikr zabt e sukhan ka kya, do dhaara hai wo khub
Baghair kuch kahe ‘sahil’ chaho to teer chala lo
Ashok sawhny Sahil