ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Mujhe na sunao daastan jahan ki

Mujhe na sunao daastan jahan ki
Aaj ki yahan kya khabar hai
Kaun kis ka kahan muntazir hai
Kaun aa raha hai, kaun muntazar hai

Zaati mera muamla nahin
Jahan se main khafa nahin
Mujh per koi jafa nahin
Naaraaz mujh se khuda nahin

Kya karunga sab jaan kar main
Kis ki kaunsi baat maan kar main
Gar hamsafar humnawa nahin yahan
Phir chehre sab pehchaan kar main

Rakh waasta apne kaam se ‘sahil’
Sab ki wohi to hai ek manzil
Jis bhi naam se bulao koi muzaiqa nahin
Wohi to ek hi Rab hai kul mustaqil

Muzaaiqa. No problem
muntazir. Waiting
Muntazar. One expected

Ashok sawhny Sahil

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *