ENTERTAINMENTStory/PoetryTRENDING NEWS

Dekha hai dunya ne khoob shaan o shaukat men mujhe

Dekha hai dunya ne khoob shaan o shaukat men mujhe
Bhaley dekhe ab koi libaas e ghurbat men mujhe

Sahara zeb o zeenat se kisey mila mustaqil kabhi
Mila hai aaraam bahot asl o haqeeqat men mujhe

Khwaab ya saraab hai yeh to jaane maula yaro
Mili to taskeen be misaal mushaqat men mujhe

Maanind e dervesh mast hun raqs us ka la jawaab
Sukoon be inteha mila Rab ki ibadat men mujhe

Waqt e ikhtetaam na dast e ajal se khauf mujhe
Humsafar hai falsafa waqt e fursat men mujhe

Zaamin kaun hai khuld ka ghar doosra bhi to hai
Kya karna hai ab ja kar ‘sahil’ kisi jannat men mujhe

Libaas e ghurbat. Beggar’s clothes
Zeb o zeenat.  Glory beauty
Mustaqil. Permanent. Stable
Raqs. Dance
Waqt e ikhtetaam. The end
Dast e ajal. The hand of demise
Falsafa. Philosophy
Zaamin. Guarantor

Ashok sawhny ‘Sahil’

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *