Jab saare jahan ka Rab zaamin o paasbaan hai

Jab saare jahan ka Rab zaamin o paasbaan hai
Mehmaan hui phir duniya aur woh mezbaan hai

Rukta nahin hai waqt kabhi kisi ke liye
Dekho aab e darya ko jo musalsal ravaan hai

Ghutne tek karte hain yaad khuda ko hum
Jhukte nahin sar kyon kis ka yeh farmaan hai

Hum nashin tha ma’bad men woh jo mere qareeb
Jaaney rah men kya hua aaj kyon gurezan hai

Dum ba dum aate hain saans dastur e hayaat
Jaane kyon kehte hain zindagi imtehaan hai

‘Sahil’, manind e qaafila hai yeh zeest ka safar
Aasmaan men nigahbaan woh mir e kaarwaan hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *