Dil ki dhadkan ya teri saanson ki aawaaz

Dil ki dhadkan ya teri saanson ki aawaaz

Raat ke sannatey men yeh hungaama kaisa

Jeeney ka ehsaas ya tera hona mere paas

Jaanaan, in donon ke darmiyan yeh faasla kaisa

Halki si jo kiran hai, subh ki hai woh raushani

Shab ki zulmaton ka phir hai yeh tamasha kaisa

Ravaan darya, chashm num, dil men uth te valvale

Baari sab ki aayegi Phir yeh rona dhona kaisa

Gulon ki baat mat kijiye na hi un ke khaaron ki

Muhabat bhi chaman hai ‘sahil’ bahot anokha sa

Khaaron thorns

Chaman. Baagh

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *