Jhagre fitne rakhiye yaro adu ke liye
Jhagre fitne rakhiye yaro adu ke liye
Mauzu nahin chahiye koi, guftagu ke liye
Uth te hain be sakhta dil men sab ke valvale
Koshish ki zururat nahin, kisi aarzu key liye
Talaash hai jis cheez ki bande milegi woh zurur
Bas naam lab per khuda ka ho, us justaju ke liye
Laazimi hain chund shara’it har justaju ke liye
Jaise gulon ka hona baagh men, us khushbu ke liya
Ma’bad na mussala koi kuch nahin chahiye mujhe
Kaafi hai zabaan hi ‘sahil’, allah hu ke liye
Koi khwahishen aisi na hon jinka bazaar na miley
Na hi koi saamaan aisa jiska kharidaar na miley
Izzat apni hoti hai haathon men apne hamesha
Itna na jhuke sar kabhi ke giri dastaar na miley
Kaakh o gulzaar raub o daab kis kaam ke, shaikh
Din ko tujhe chain nahin, raat ko qaraar na miley
Kya itna maayus na hua yeh dil tera kabhi
Ke chaah na hui us veeraney ki jahan gulzaar na miley
Tere jahan men sukoon ki darkaar hai mujhe
Dua maangta hun maula yeh dukhi sansaar na miley
Ajab hai itna ravaiyya tere insan ka khudaya
Aisa na ho jahan men kal koi deendaar na miley
Chaman ki nahin tamanna na hi baad e nau bahaar ki
Kho jayega ‘sahil’, ya rab, gar tera rahguzaar na miley
Dastaar. Turban
Kaakh o gulzaar. Palace and garden
Qaraar. Contentment
Veeraaney. Desolate deserted place
Raub o daab Display of Power, Status
Sukoon. peace of mind
Baad e nau bahaar. Breeze of a new Spring
Rahguzaar. Path Walkway
Ravaiyya. Manner Behaviour
Deendaar. Religious person. Believer